qafas ko toD ke taza hawa mein sans liya
qafas ko toḌ ke taaza havā meñ saañs liyā
vajūd chhoḌ ke taaza havā meñ saañs liyā
dhueñ ke shahr meñ bārish kā shukr vājib thā
so haath joḌ ke taaza havā meñ saañs liyā
fazā kī dūsrī jānib thā baaġh phūloñ kā
mahār moḌ ke taaza havā meñ saañs liyā
the ik ġhubbāra-numā āsmāñ kī qaid meñ ham
ġhubbāra phoḌ ke taaza havā meñ saañs liyā
safar kī dhuul se 'ākāsh' aT chukā thā ḳhalā
zamīñ nichoḌ ke taaza havā meñ saañs liyā
qafas ko toD ke taza hawa mein sans liya
wajud chhoD ke taza hawa mein sans liya
dhuen ke shahr mein barish ka shukr wajib tha
so hath joD ke taza hawa mein sans liya
faza ki dusri jaanib tha bagh phulon ka
mahaar moD ke taza hawa mein sans liya
the ek ghubbara-numa aasman ki qaid mein hum
ghubbara phoD ke taza hawa mein sans liya
safar ki dhul se 'akash' aT chuka tha KHala
zamin nichoD ke taza hawa mein sans liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.