qafas mein aaj koi gham-gusar bhi to nahin
qafas meñ aaj koī ġham-gusār bhī to nahīñ
ajiib vaqt hai zikr-e-bahār bhī to nahīñ
nigāh-e-nāz ko ilzām kis tarah diije
ḳhud apne dil pe hameñ iḳhtiyār bhī to nahīñ
ye mānte haiñ ki ab vo ghuTan nahīñ lekin
ḳhizāñ ke baad kā aalam bahār bhī to nahīñ
bhaTak rahe haiñ añdheroñ meñ kārvāñ ab bhī
koī charāġh sar-e-rahguzār bhī to nahīñ
sabhī ko merī tabāhī pe aa rahā hai taras
magar kisī kī nazar sharmsār bhī to nahīñ
hamāre ġham pe jahāñ hañs rahā hai kyoñ 'māhir'
hamārī tarah koī be-qarār bhī to nahīñ
qafas mein aaj koi gham-gusar bhi to nahin
ajib waqt hai zikr-e-bahaar bhi to nahin
nigah-e-naz ko ilzam kis tarah dije
KHud apne dil pe hamein iKHtiyar bhi to nahin
ye mante hain ki ab wo ghuTan nahin lekin
KHizan ke baad ka aalam bahaar bhi to nahin
bhaTak rahe hain andheron mein karwan ab bhi
koi charagh sar-e-rahguzar bhi to nahin
sabhi ko meri tabahi pe aa raha hai taras
magar kisi ki nazar sharmsar bhi to nahin
hamare gham pe jahan hans raha hai kyon 'mahir'
hamari tarah koi be-qarar bhi to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.