qafas mein phailaega ye par to KHala mein dast-e-talab banega
qafas mein phailaega ye par to KHala mein dast-e-talab banega
Shahnawaz Ansari
MORE BYShahnawaz Ansari
qafas meñ phailā.egā ye par to ḳhalā meñ dast-e-talab banegā
aur ek din phir yahī parinda rihā.iyoñ kā sabab banegā
siyāh kāġhaz pe raushnī ke kuchh isti'āre talāsh karnā
phir us ujāle meñ dekh lenā hamārā nām-o-nasab banegā
jo ḳhat lifāfe meñ thā achānak hī us ke hāthoñ meñ aa gayā hai
tamām lafzoñ ke ā.īne meñ hamārā chehra to ab banegā
maiñ zabt kartā rahūñ ġhamoñ ko tabhī to ye ḳhaak nam banegī
junūñ meñ aa ke bikhar gayā to ġhubār merā laqab banegā
abhī hai mauqa' uThāo ḳhanjar mujhe ḳhamoshī se qatl kar do
tumhāre lahje se zahr vaise bhī jab banegā so tab banegā
jo quds kī sarzamīñ pe raushan sitāra ban ke chamak rahā thā
ba-roz-e-mahshar gavāh us kā ajam se le kar arab banegā
qafas mein phailaega ye par to KHala mein dast-e-talab banega
aur ek din phir yahi parinda rihaiyon ka sabab banega
siyah kaghaz pe raushni ke kuchh isti'are talash karna
phir us ujale mein dekh lena hamara nam-o-nasab banega
jo KHat lifafe mein tha achanak hi us ke hathon mein aa gaya hai
tamam lafzon ke aaine mein hamara chehra to ab banega
main zabt karta rahun ghamon ko tabhi to ye KHak nam banegi
junun mein aa ke bikhar gaya to ghubar mera laqab banega
abhi hai mauqa' uThao KHanjar mujhe KHamoshi se qatl kar do
tumhaare lahje se zahr waise bhi jab banega so tab banega
jo quds ki sarzamin pe raushan sitara ban ke chamak raha tha
ba-roz-e-mahshar gawah us ka ajam se le kar arab banega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.