Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qafas mein rah ke gul-o-nastaran ki baat karo

Shaghil Qadri

qafas mein rah ke gul-o-nastaran ki baat karo

Shaghil Qadri

MORE BYShaghil Qadri

    qafas meñ rah ke gul-o-nastaran baat karo

    chaman se duur ho lekin chaman baat karo

    abhī to jazb-e-mohabbat āzmā.ish hai

    faroġh-e-ishq dār-o-rasan baat karo

    jale shabāb ke tūfāñ meñ sham-e-taqvā kyā

    bahār-e-nau sharāb-e-kuhan baat karo

    ḳhilāf-e-maslak-e-ulfat hai shikva-e-sāqī

    na tishnā-kāmī-e-kām-o-dahan baat karo

    yahāñ fasāna-e-dair-o-haram se kyā hāsil

    yahāñ to sāqī-e-īmāñ-shikan baat karo

    ajab nahīñ ki qafas se rah-e-chaman nikle

    asiir rah ke bahār-e-chaman baat karo

    sukūt-o-gosha-nashīnī se 'qādrī' hāsil

    suḳhan-varoñ meñ kamāl-e-suḳhan baat karo

    qafas mein rah ke gul-o-nastaran ki baat karo

    chaman se dur ho lekin chaman ki baat karo

    abhi to jazb-e-mohabbat ki aazmaish hai

    farogh-e-ishq ki dar-o-rasan ki baat karo

    jale shabab ke tufan mein sham-e-taqwa kya

    bahaar-e-nau ki sharab-e-kuhan ki baat karo

    KHilaf-e-maslak-e-ulfat hai shikwa-e-saqi

    na tishna-kaami-e-kaam-o-dahan ki baat karo

    yahan fasana-e-dair-o-haram se kya hasil

    yahan to saqi-e-iman-shikan ki baat karo

    ajab nahin ki qafas se rah-e-chaman nikle

    asir rah ke bahaar-e-chaman ki baat karo

    sukut-o-gosha-nashini se 'qadri' hasil

    suKHan-waron mein kamal-e-suKHan ki baat karo

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now