qafas-nasibon ko taDpa gai hawa-e-bahaar
Interesting Fact
1912
qafas-nasīboñ ko taḌpā ga.ī havā-e-bahār
chhurī sī dil pe chalī jab chalī havā-e-bahār
koī to jur.a-kash-e-jām-e-arġhavānī ho
kisī ko hijr ke ġham meñ lahū rulā.e bahār
havā meñ āj-kal ik dhīmī dhīmī vahshat hai
isī zamāne se shāyad hai ibtidā-e-bahār
nasīm sehn-e-chaman meñ pachhāḌeñ khātī hai
to dil ko aur bhī taḌpātī hai adā-e-bahār
qafas pe rakhiyo na sayyād baar phūloñ kā
kahīñ asīroñ ko zālim na yaad aa.e bahār
khaḌī huī hai asā Teke nargis-e-bīmār
is intizār meñ hai dekhiye kab aa.e bahār
safed bāloñ pe kyā rañg de rahā hai ḳhizāb
ab ibtidā-e-ḳhizāñ hai aur intihā-e-bahār
qafas-nasibon ko taDpa gai hawa-e-bahaar
chhuri si dil pe chali jab chali hawa-e-bahaar
koi to jura-kash-e-jam-e-arghawani ho
kisi ko hijr ke gham mein lahu rulae bahaar
hawa mein aaj-kal ek dhimi dhimi wahshat hai
isi zamane se shayad hai ibtida-e-bahaar
nasim sehn-e-chaman mein pachhaDen khati hai
to dil ko aur bhi taDpati hai ada-e-bahaar
qafas pe rakhiyo na sayyaad bar phulon ka
kahin asiron ko zalim na yaad aae bahaar
khaDi hui hai asa Teke nargis-e-bimar
is intizar mein hai dekhiye kab aae bahaar
safed baalon pe kya rang de raha hai KHizab
ab ibtida-e-KHizan hai aur intiha-e-bahaar
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 137)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.