qafas se dur jaana chahte hain
qafas se duur jaanā chāhte haiñ
parinde āshiyānā chāhte haiñ
guzāreñ zindagī kab tak akele
tire pahlū meñ aanā chāhte haiñ
ghanī hai dhuup sar par mushkiloñ kī
sukūñ kā shāmiyāna chāhte haiñ
ḳhushā qismat hameñ vo chāhtā hai
jise ahl-e-zamāna chāhte haiñ
tumhārā tazkira sun sun ke mujh se
sitāre muskurānā chāhte haiñ
tumhāre naam kī ik dhun banā kar
hamesha gungunānā chāhte haiñ
ye kūza-gar mirī miTTī se 'sonam'
na jaane kyā banānā chāhte haiñ
qafas se dur jaana chahte hain
parinde aashiyana chahte hain
guzaren zindagi kab tak akele
tere pahlu mein aana chahte hain
ghani hai dhup sar par mushkilon ki
sukun ka shamiyana chahte hain
KHusha qismat hamein wo chahta hai
jise ahl-e-zamana chahte hain
tumhaara tazkira sun sun ke mujh se
sitare muskurana chahte hain
tumhaare nam ki ek dhun bana kar
hamesha gungunana chahte hain
ye kuza-gar meri miTTi se 'sonam'
na jaane kya banana chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.