qafas se KHud hi parinda riha kiya maine
qafas se ḳhud hī parinda rihā kiyā maiñ ne
phir us ke baad ye sochā ki kyā kiyā maiñ ne
vo aur bhī kisī chashm-e-kamāñ kī zad par thā
kuchh is liye bhī nishāna ḳhatā kiyā maiñ ne
ka.ī jahān nazar aa.e hairatoñ ke mujhe
ḳhud apnī samt darīcha jo vā kiyā maiñ ne
jo dard tū ne diyā tere iḳhtiyār meñ thā
vo zabt jo mire bas meñ na thā kiyā maiñ ne
vo āñkheñ māñgne aaya to merī aañkh khulī
use ḳhirāj meñ kyā kyā adā kiyā maiñ ne
qafas se KHud hi parinda riha kiya main ne
phir us ke baad ye socha ki kya kiya main ne
wo aur bhi kisi chashm-e-kaman ki zad par tha
kuchh is liye bhi nishana KHata kiya main ne
kai jahan nazar aae hairaton ke mujhe
KHud apni samt daricha jo wa kiya main ne
jo dard tu ne diya tere iKHtiyar mein tha
wo zabt jo mere bas mein na tha kiya main ne
wo aankhen mangne aaya to meri aankh khuli
use KHiraj mein kya kya ada kiya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.