qafas tak bhi pahunch hai ya faqat ek aashiyan tak hai
qafas tak bhi pahunch hai ya faqat ek aashiyan tak hai
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
qafas tak bhī pahuñch hai yā faqat ik āshiyāñ tak hai
rasā.ī dekhnī hai barq-e-sozāñ kī kahāñ tak hai
mujhe lazzat-kash-e-bedād pā kar haath kyoñ rokā
zarā to āzmāte hausla dil kā kahāñ tak hai
yaqīñ apnī vafā par hai taġhāful kā nahīñ shikva
tirī begāngī ham jānte haiñ imtihāñ tak hai
nasheman phūñk kar zālim havā detā hai dāman kī
ġhubār-e-ḳhātir-e-sayyād ḳhāk-e-āshiyāñ tak hai
zarā sā dil hai lekin jaan hai bazm-e-do-ālam kī
ye saarī garmī-e-hangāma qalb-e-nā-tavāñ tak hai
shikast-e-dil kā baa.is ārzū-e-dil ko Thahrāyā
gumān-e-nek tujh se bad-gumāñ dekhā kahāñ tak hai
yahī rūh-e-tamanna hai yahī hai jān-e-dil 'kaifī'
qafas meñ zindagī apnī ḳhayāl-e-āshiyāñ tak hai
qafas tak bhi pahunch hai ya faqat ek aashiyan tak hai
rasai dekhni hai barq-e-sozan ki kahan tak hai
mujhe lazzat-kash-e-bedad pa kar hath kyon roka
zara to aazmate hausla dil ka kahan tak hai
yaqin apni wafa par hai taghaful ka nahin shikwa
teri begangi hum jaante hain imtihan tak hai
nasheman phunk kar zalim hawa deta hai daman ki
ghubar-e-KHatir-e-sayyaad KHak-e-ashiyan tak hai
zara sa dil hai lekin jaan hai bazm-e-do-alam ki
ye sari garmi-e-hangama qalb-e-na-tawan tak hai
shikast-e-dil ka bais aarzu-e-dil ko Thahraya
guman-e-nek tujh se bad-guman dekha kahan tak hai
yahi ruh-e-tamanna hai yahi hai jaan-e-dil 'kaifi'
qafas mein zindagi apni KHayal-e-ashiyan tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.