qahat-sali si qahat-sali hai
qahat-sālī sī qahat-sālī hai
dil tirī yaad se bhī ḳhālī hai
dekh tū āsmāñ ke bistar par
chāñd merī tarah savālī hai
ḳhvāb dekhūñ to kis tarah dekhūñ
niiñd us ne mirī churā lī hai
ham ne bujhte hue diye kī lau
tez āñdhī meñ phir uchhālī hai
sach to ye hai ki kār-e-vahshat meñ
ham ne ye umr hī gañvā lī hai
hijr kī dopahar meñ ai 'sayyad'
bazm yādoñ kī phir sajā lī hai
qahat-sali si qahat-sali hai
dil teri yaad se bhi KHali hai
dekh tu aasman ke bistar par
chand meri tarah sawali hai
KHwab dekhun to kis tarah dekhun
nind us ne meri chura li hai
hum ne bujhte hue diye ki lau
tez aandhi mein phir uchhaali hai
sach to ye hai ki kar-e-wahshat mein
hum ne ye umr hi ganwa li hai
hijr ki dopahar mein ai 'sayyad'
bazm yaadon ki phir saja li hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.