qahqahon ki zad se ye gauhar chhupa
qahqahoñ kī zad se ye gauhar chhupā
apnī daulat sab se chashm-e-tar chhupā
aag barsegī abhī kuchh der meñ
chhoḌ merī fikr apnā sar chhupā
vus.at-e-ālam meñ gunjā.ish nahīñ
mujh ko apnī zaat ke andar chhupā
kaam aa.egā bure auqāt meñ
ḳhāna-e-dil meñ zarā sā shar chhupā
us ḳhamoshī ko samajh luuñ ehtirām
yā tire dil meñ hai merā Dar chhupā
apnī shaḳhsiyyat kī 'jāmid' laaj rakh
jo pas-e-parda hai vo manzar chhupā
qahqahon ki zad se ye gauhar chhupa
apni daulat sab se chashm-e-tar chhupa
aag barsegi abhi kuchh der mein
chhoD meri fikr apna sar chhupa
wusat-e-alam mein gunjaish nahin
mujh ko apni zat ke andar chhupa
kaam aaega bure auqat mein
KHana-e-dil mein zara sa shar chhupa
us KHamoshi ko samajh lun ehtiram
ya tere dil mein hai mera Dar chhupa
apni shaKHsiyyat ki 'jamid' laj rakh
jo pas-e-parda hai wo manzar chhupa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.