qahr barsa aasman se tab pashemani hui
qahr barsā āsmāñ se tab pashemānī huī
bhuul baiThe ham ḳhudā ko ham se nādānī huī
kyā hasīñ raunaq yahāñ thī kis qadar ābād thā
aaj apne shahr ko dekhā to hairānī huī
jī rahī haiñ ḳhauf ke saa.e meñ vo in dinoñ
sūrateñ duniyā meñ thiiñ jo jaanī pahchānī huī
ho ga.e haiñ mandir-o-masjid ke darvāze bhī band
saarī duniyā par musallat kaisī vīrānī huī
jī huzūrī kar na paa.e hukm par us ke 'bilāl'
bādshāh-e-vaqt kī ham se na darbānī huī
qahr barsa aasman se tab pashemani hui
bhul baiThe hum KHuda ko hum se nadani hui
kya hasin raunaq yahan thi kis qadar aabaad tha
aaj apne shahr ko dekha to hairani hui
ji rahi hain KHauf ke sae mein wo in dinon
suraten duniya mein thin jo jaani pahchani hui
ho gae hain mandir-o-masjid ke darwaze bhi band
sari duniya par musallat kaisi virani hui
ji huzuri kar na pae hukm par us ke 'bilal'
baadshah-e-waqt ki hum se na darbani hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.