qahr-e-mujassam husn-e-mukarram
qahr-e-mujassam husn-e-mukarram
aap hī sho.ala aap hī shabnam
aap na aa.e ye bhī na sochā
bazm meñ kitne dil hue pur-ġham
maan bhī lete un kī bāteñ
lekin kuchh āvāz thī maddham
aap ye āḳhir kyoñ haiñ pashemāñ
aap se kuchh shākī to nahīñ ham
yuuñ na jatāo apnī baḌā.ī
aap kī hastī ḳhud hai musallam
gūñjtī haiñ ab tak kānoñ meñ
bāteñ un kī thiiñ yā sargam
sun na sake 'ashraf' vo hamārī
baat thī sachchī ho ga.e barham
qahr-e-mujassam husn-e-mukarram
aap hi shoala aap hi shabnam
aap na aae ye bhi na socha
bazm mein kitne dil hue pur-gham
man bhi lete un ki baaten
lekin kuchh aawaz thi maddham
aap ye aaKHir kyon hain pasheman
aap se kuchh shaki to nahin hum
yun na jatao apni baDai
aap ki hasti KHud hai musallam
gunjti hain ab tak kanon mein
baaten un ki thin ya sargam
sun na sake 'ashraf' wo hamari
baat thi sachchi ho gae barham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.