qahr hua ghazab hua shor hai lala-zar mein
qahr huā ġhazab huā shor hai lāla-zār meñ
aag lagī bahār meñ aag lagī bahār meñ
apnā ma.āl-e-zindagī phūloñ ko dekh kar samajh
aaj ḳhizāñ-nasīb haiñ kal jo khile bahār meñ
dāġh-e-jigar ke phuul meñ phuul sadā-bahār ke
rahtā hai rañg ek saañ in kā ḳhizāñ bahār meñ
is husn is shabāb par nāz-o-ġhurūr is qadar
aaj hai aur kal nahīñ aap haiñ kis shumār meñ
mere gunāh bhī bahut rahmat-e-kirdgār bhī
ye bhī nahīñ shumār meñ vo bhī nahīñ shumār meñ
kis kī ziyā tirī ziyā kis kī jhalak tirī jhalak
anjum-o-mehr-o-māh meñ barq meñ nūr-o-nār meñ
taḌpeñ na ham to kyā kareñ dekh kar us ko ik nigāh
hoñ bijliyāñ bharī huī jis chashm-e-sehr-kār meñ
yār-o-azīz-o-aqrabā kā ye sulūk ba.ad-e-marg
dosh-ba-dosh le chale chhoḌne mujh ko ġhaar meñ
ḳhāl-o-ruḳh-e-habīb kī jalvagarī ke sāmne
chāñd hai kis qatār meñ taare haiñ kis shumār meñ
din shahīd-e-nāz kā kis kis jagah hai jalva-rez
kuchh hai shafaq meñ aur kuchh shāmil hai lāla-zār meñ
apne gunāh pe sharmsār dekh ke mujh ko roz-e-hashr
rahmat-e-haq ne le liyā 'sābir' mujhe kanār meñ
qahr hua ghazab hua shor hai lala-zar mein
aag lagi bahaar mein aag lagi bahaar mein
apna maal-e-zindagi phulon ko dekh kar samajh
aaj KHizan-nasib hain kal jo khile bahaar mein
dagh-e-jigar ke phul mein phul sada-bahaar ke
rahta hai rang ek san in ka KHizan bahaar mein
is husn is shabab par naz-o-ghurur is qadar
aaj hai aur kal nahin aap hain kis shumar mein
mere gunah bhi bahut rahmat-e-kirdgar bhi
ye bhi nahin shumar mein wo bhi nahin shumar mein
kis ki ziya teri ziya kis ki jhalak teri jhalak
anjum-o-mehr-o-mah mein barq mein nur-o-nar mein
taDpen na hum to kya karen dekh kar us ko ek nigah
hon bijliyan bhari hui jis chashm-e-sehr-kar mein
yar-o-aziz-o-aqraba ka ye suluk baad-e-marg
dosh-ba-dosh le chale chhoDne mujh ko ghaar mein
KHal-o-ruKH-e-habib ki jalwagari ke samne
chand hai kis qatar mein tare hain kis shumar mein
din shahid-e-naz ka kis kis jagah hai jalwa-rez
kuchh hai shafaq mein aur kuchh shamil hai lala-zar mein
apne gunah pe sharmsar dekh ke mujh ko roz-e-hashr
rahmat-e-haq ne le liya 'sabir' mujhe kanar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.