qahr kaisa subh-dam baad-e-bahaari kar gai
qahr kaisā sub.h-dam bād-e-bahārī kar ga.ī
phuul barsānā the dil par sho.ala-bārī kar ga.ī
tishna-e-takmīl ik muddat se thā zauq-e-junūñ
kaam kuchh to dostoñ kī sañg-bārī kar ga.ī
jis qadar jhukte ga.e hote ga.e ham sar-buland
rif.atoñ se āshnā ye ḳhāksārī kar ga.ī
ham gunahgāroñ ko rahmat kī kahāñ ummīd thī
mustahiq lekin hamārī sharmsārī kar ga.ī
har varaq dīvān-e-dil kā naqsh-e-mānī hai 'bahār'
nok-e-mizhgāñ dekhiye kyā husn-kārī kar ga.ī
qahr kaisa subh-dam baad-e-bahaari kar gai
phul barsana the dil par shoala-bari kar gai
tishna-e-takmil ek muddat se tha zauq-e-junun
kaam kuchh to doston ki sang-bari kar gai
jis qadar jhukte gae hote gae hum sar-buland
rifaton se aashna ye KHaksari kar gai
hum gunahgaron ko rahmat ki kahan ummid thi
mustahiq lekin hamari sharmsari kar gai
har waraq diwan-e-dil ka naqsh-e-mani hai 'bahaar'
nok-e-mizhgan dekhiye kya husn-kari kar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.