qaid aur qaid bhi tanhai ki
qaid aur qaid bhī tanhā.ī kī
sharm rah jaa.e shakebā.ī kī
sūjhtā kyā hameñ un āñkhoñ se
shart thī qalb kī bīnā.ī kī
dar-e-but-ḳhāna se baḌhne hī na paa.e
garche ik 'umr jabīñ-sā.ī kī
qais ko nāqa-e-lailā na milā
go bahut bādiya-paimā.ī kī
ham ne har zarre ko mahmil paayā
hai ye qismat tire sahrā.ī kī
vaqf hai us ke liye jān-e-azīz
kā'ba ke ḳhādim o shaidā.ī kī
kā'ba o quds meñ ghar kyā ye bhī
ik adā hai mire harjā.ī kī
nazar aayā hameñ har chiiz meñ tū
us pe ye dhuum hai yaktā.ī kī
ishq aur jaur-e-sitamgar kā gila
had hai ai dil yahī rusvā.ī kī
ishq ko ham ne kyā nazr-e-junūñ
'umr bhar meñ yahī dānā.ī kī
kar ga.ī zinda-e-jāved hameñ
teġh-e-qātil ne masīhā.ī kī
ho na taqlīd dilā maqtal meñ
kahīñ muusā se tamannā.ī kī
na sahī teġh tajallī hī sahī
aañkh jhapke na tamāshā.ī kī
kal ko hai phir vahī zindāñ 'jauhar'
Thiik kyā aap se saudā.ī kī
qaid aur qaid bhi tanhai ki
sharm rah jae shakebai ki
sujhta kya hamein un aankhon se
shart thi qalb ki binai ki
dar-e-but-KHana se baDhne hi na pae
garche ek 'umr jabin-sai ki
qais ko naqa-e-laila na mila
go bahut baadiya-paimai ki
hum ne har zarre ko mahmil paya
hai ye qismat tere sahrai ki
waqf hai us ke liye jaan-e-aziz
ka'ba ke KHadim o shaidai ki
ka'ba o quds mein ghar kya ye bhi
ek ada hai mere harjai ki
nazar aaya hamein har chiz mein tu
us pe ye dhum hai yaktai ki
ishq aur jaur-e-sitamgar ka gila
had hai ai dil yahi ruswai ki
ishq ko hum ne kya nazr-e-junun
'umr bhar mein yahi danai ki
kar gai zinda-e-jawed hamein
tegh-e-qatil ne masihai ki
ho na taqlid dila maqtal mein
kahin musa se tamannai ki
na sahi tegh tajalli hi sahi
aankh jhapke na tamashai ki
kal ko hai phir wahi zindan 'jauhar'
Thik kya aap se saudai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.