qaid-e-tanhai se qaid-e-umr mein aa jaunga
qaid-e-tanhā.ī se qaid-e-umr meñ aa jā.ūñgā
farq itnā hai ki khānā apne ghar kā khā.ūñgā
saañs kī zanjīr ne jakḌe haiñ mere haath paañv
apnī marzī se koī maiñ kaam kyā kar pā.ūñgā
ye añdherī raat aur be-samt sahrā kā safar
dushmanoñ se bach gayā to ḳhud bhī Thokar khā.ūñgā
aañkh se dekhūñgā jab maiñ hilte hoñToñ kī sadā
maiñ bhī bahrā ho gayā huuñ zor se chillā.ūñgā
naar ab gulzār hone ke zamāne ḳhatm haiñ
bhiik māñgūñgā ḳhudā se giit sab ke gā.uñgā
zābta koī nahīñ hai bārishoñ par munhasir
khet ke bījoñ meñ 'mājid' phūl-phal le ā.ūñgā
qaid-e-tanhai se qaid-e-umr mein aa jaunga
farq itna hai ki khana apne ghar ka khaunga
sans ki zanjir ne jakDe hain mere hath panw
apni marzi se koi main kaam kya kar paunga
ye andheri raat aur be-samt sahra ka safar
dushmanon se bach gaya to KHud bhi Thokar khaunga
aankh se dekhunga jab main hilte honTon ki sada
main bhi bahra ho gaya hun zor se chillaunga
nar ab gulzar hone ke zamane KHatm hain
bhik mangunga KHuda se git sab ke gaunga
zabta koi nahin hai barishon par munhasir
khet ke bijon mein 'majid' phul-phal le aaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.