qaid-e-zindan mein KHayal-e-baal-o-par aaya to kya
qaid-e-zindāñ meñ ḳhayāl-e-bāl-o-par aayā to kyā
putliyoñ meñ goyā ‘aks-e-bām-o-dar aayā to kyā
soch kar us ko mirā dil aaj bhar aayā to kyā
vo jazīra hai jazīre meñ khañDar aayā to kyā
mujh ko to be-jism jazboñ kī qabā darkār thī
kīsa-e-fan meñ jo harf-e-be-hunar aayā to kyā
aa ke bhī jaatā vo mere saath kitne duur tak
us ko aanā thā na aayā aur agar aayā to kyā
haath kyā tere mirī dastār tak aa jā.eñge
maiñ muravvat meñ zarā nīche utar aayā to kyā
is galī meñ gard-bād uThte hī rahte haiñ miyāñ
aaj phir tum sā koī shorīda-sar aayā to kyā
chilchilātī dhuup hī mazdūr ke hisse meñ thī
chhoḌ kar apnā vatan doha qatar aayā to kyā
zindagī ke din kaTe sūraj se do do haath meñ
ai 'nazīr' ab shaam hai bādal nazar aayā to kyā
qaid-e-zindan mein KHayal-e-baal-o-par aaya to kya
putliyon mein goya ‘aks-e-baam-o-dar aaya to kya
soch kar us ko mera dil aaj bhar aaya to kya
wo jazira hai jazire mein khanDar aaya to kya
mujh ko to be-jism jazbon ki qaba darkar thi
kisa-e-fan mein jo harf-e-be-hunar aaya to kya
aa ke bhi jata wo mere sath kitne dur tak
us ko aana tha na aaya aur agar aaya to kya
hath kya tere meri dastar tak aa jaenge
main murawwat mein zara niche utar aaya to kya
is gali mein gard-baad uThte hi rahte hain miyan
aaj phir tum sa koi shorida-sar aaya to kya
chilchilati dhup hi mazdur ke hisse mein thi
chhoD kar apna watan doha qatar aaya to kya
zindagi ke din kaTe suraj se do do hath mein
ai 'nazir' ab sham hai baadal nazar aaya to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.