qaid karta hai na aazad baDi uljhan hai
qaid kartā hai na āzād baḌī uljhan hai
chāhtā kyā hai tū sayyād baḌī uljhan hai
apnī āñkhoñ ko maiñ kis neze pe rakh duuñ jā kar
ret par rakhnī hai buniyād baḌī uljhan hai
apnī ġhazloñ kā badan kis ke havāle kar duuñ
sab meñ maujūd haiñ naqqād baḌī uljhan hai
dil kī ta.amīr adhūrī hai ka.ī sadiyoñ se
koī kartā nahīñ imdād baḌī uljhan hai
jism kā bojh zamīnoñ meñ na rakh pāoge
log pahle se haiñ ābād baḌī uljhan hai
phir se āsār qayāmat ke bane haiñ mujh meñ
phir se tum aane lage yaad baḌī uljhan hai
khīñch laayā hai mujhe ishq ajab manzil par
likkhī jaatī nahīñ rūdād baḌī uljhan hai
ġham Thaharte haiñ yahāñ dil hai musāfir-ḳhāna
dil ko tum kahte ho 'dil' shaad baḌī uljhan hai
qaid karta hai na aazad baDi uljhan hai
chahta kya hai tu sayyaad baDi uljhan hai
apni aankhon ko main kis neze pe rakh dun ja kar
ret par rakhni hai buniyaad baDi uljhan hai
apni ghazlon ka badan kis ke hawale kar dun
sab mein maujud hain naqqad baDi uljhan hai
dil ki tamir adhuri hai kai sadiyon se
koi karta nahin imdad baDi uljhan hai
jism ka bojh zaminon mein na rakh paoge
log pahle se hain aabaad baDi uljhan hai
phir se aasar qayamat ke bane hain mujh mein
phir se tum aane lage yaad baDi uljhan hai
khinch laya hai mujhe ishq ajab manzil par
likkhi jati nahin rudad baDi uljhan hai
gham Thaharte hain yahan dil hai musafir-KHana
dil ko tum kahte ho 'dil' shad baDi uljhan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.