qaid main kaise daere mein hun
qaid maiñ kaise dā.ere meñ huuñ
kaun hai jis ke silsile meñ huuñ
aap to mīThī niiñd sote haiñ
aur maiñ sadiyoñ se rat-jage meñ huuñ
ab nahīñ koī fikr duniyā kī
chain se apne maqbare meñ huuñ
mujh ko manzil milī nahīñ ab tak
ek muddat se rāste meñ huuñ
un kī yādoñ ko bhūlnā hai mujhe
yuuñ maiñ 'santosh' mai-kade meñ huuñ
qaid main kaise daere mein hun
kaun hai jis ke silsile mein hun
aap to miThi nind sote hain
aur main sadiyon se rat-jage mein hun
ab nahin koi fikr duniya ki
chain se apne maqbare mein hun
mujh ko manzil mili nahin ab tak
ek muddat se raste mein hun
un ki yaadon ko bhulna hai mujhe
yun main 'santosh' mai-kade mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.