qaid mein gar mujhko apni bandhta rah jaega
qaid meñ gar mujh ko apnī bāñdhtā rah jā.egā
mere rahte vo mujhī ko DhūñDhtā rah jā.egā
yuuñ to badlegā nahīñ kuchh bhī tire jaane ke baad
dāman-e-ḳhvāhish magar haañ bhīgtā rah jā.egā
merī ḳhāmoshī hī de degī use saare javāb
vo savāl apne hī dil se pūchhtā rah jā.egā
kirchiyāñ kuchh ḳhvāboñ kī chubhtī rahegī āñkhoñ meñ
baad tere umr bhar kā rat-jagā rah jā.egā
mubtalā gar ishq meñ ai dil huā to soch le
zindagī bhar zindagī ko DhūñDhtā rah jā.egā
qaid mein gar mujh ko apni bandhta rah jaega
mere rahte wo mujhi ko DhunDhta rah jaega
yun to badlega nahin kuchh bhi tere jaane ke baad
daman-e-KHwahish magar han bhigta rah jaega
meri KHamoshi hi de degi use sare jawab
wo sawal apne hi dil se puchhta rah jaega
kirchiyan kuchh KHwabon ki chubhti rahegi aankhon mein
baad tere umr bhar ka rat-jaga rah jaega
mubtala gar ishq mein ai dil hua to soch le
zindagi bhar zindagi ko DhunDhta rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.