qaid-o-band-e-gham se wo aazad hai
qaid-o-band-e-ġham se vo āzād hai
har qadam par yaañ na.ī uftād hai
shaad hai to aur koī barbād hai
kyā fasāna aur kyā rūdād hai
daftarī māhaul meñ dekho kabhī
koī kitnā shaad hai nāshād hai
kyoñ zamāna merā ham-āvāz ho
merā naġhma dard hai fariyād hai
ḳhān-qāheñ tum sajā lo dosto
mere dam se mai-kada ābād hai
'ahd-o-paimāñ tum ne bāñdhe the kabhī
kyā tumheñ vo bhī zamāna yaad hai
istilāheñ sirf baaqī haiñ 'razā'
vo qafas baaqī na vo sayyād hai
qaid-o-band-e-gham se wo aazad hai
har qadam par yan nai uftad hai
shad hai to aur koi barbaad hai
kya fasana aur kya rudad hai
daftari mahaul mein dekho kabhi
koi kitna shad hai nashad hai
kyon zamana mera ham-awaz ho
mera naghma dard hai fariyaad hai
KHan-qahen tum saja lo dosto
mere dam se mai-kada aabaad hai
'ahd-o-paiman tum ne bandhe the kabhi
kya tumhein wo bhi zamana yaad hai
istilahen sirf baqi hain 'raza'
wo qafas baqi na wo sayyaad hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.