qaid rakh kar use aazad kiya hai maine
qaid rakh kar use āzād kiyā hai maiñ ne
vaqt kis khel meñ barbād kiyā hai maiñ ne
DhūñDhtī hai vo kahīñ aur Thikāna apnā
vo mohabbat jise ījād kiyā hai maiñ ne
ghar se bāhar maiñ kisī se nahīñ milne jaatā
ik nagar soch meñ ābād kiyā hai maiñ ne
ab jo chāhūñ bhī to maiñ shaad nahīñ ho saktā
zindagī kyoñ tujhe nāshād kiyā hai maiñ ne
'kaif' fursat nahīñ itnī ki palaT kar dekho
vo samajhtā hai sabaq yaad kiyā hai maiñ ne
qaid rakh kar use aazad kiya hai main ne
waqt kis khel mein barbaad kiya hai main ne
DhunDhti hai wo kahin aur Thikana apna
wo mohabbat jise ijad kiya hai main ne
ghar se bahar main kisi se nahin milne jata
ek nagar soch mein aabaad kiya hai main ne
ab jo chahun bhi to main shad nahin ho sakta
zindagi kyon tujhe nashad kiya hai main ne
'kaif' fursat nahin itni ki palaT kar dekho
wo samajhta hai sabaq yaad kiya hai main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.