qaid shīshe meñ rahūñ aks banūñ shaad rahūñ
yā ki phir phoḌ ke ye aa.ina āzād rahūñ
yūñhī jiitā rahūñ gumnām añdheroñ meñ kahīñ
yā karūñ sub.h koī aisī ki maiñ yaad rahūñ
yā to ījād karūñ apne jahān-e-nau kī
yā to khanDar meñ mire apne hī barbād rahūñ
ghoñT duuñ apnī samā.at kā galā to kuchh ho
varna dil kī fuġhāñ meñ kaise maiñ ābād rahūñ
hai nidā ban ke nikalnā so zabāñ se terī
jo rahūñ apnī zabāñ pe hī to fariyād rahūñ
ai mire dost ye ash.ār sambhāle rakhnā
aarzū hai maiñ tire saath mire baad rahūñ
qaid shishe mein rahun aks banun shad rahun
ya ki phir phoD ke ye aaina aazad rahun
yunhi jita rahun gumnam andheron mein kahin
ya karun subh koi aisi ki main yaad rahun
ya to ijad karun apne jahan-e-nau ki
ya to khanDar mein mere apne hi barbaad rahun
ghonT dun apni samaat ka gala to kuchh ho
warna dil ki fughan mein kaise main aabaad rahun
hai nida ban ke nikalna so zaban se teri
jo rahun apni zaban pe hi to fariyaad rahun
ai mere dost ye ashaar sambhaale rakhna
aarzu hai main tere sath mere baad rahun
Source :
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.