qaidi hun sar-e-zulf-e-girah-gir se pahle
qaidī huuñ sar-e-zulf-e-girah-gīr se pahle
pāband huuñ paidā.ish-e-zanjīr se pahle
sar-gashta huuñ daur-e-falak-e-pīr se pahle
gardish meñ huuñ maiñ gardish-e-taqdīr se pahle
kyā laatī hai terī nigah-e-qahr kā muzhda
dauḌe hue aatī hai ajal tiir se pahle
nāloñ se unheñ hotī hai nafrat evaz-e-lutf
taqdīr bigaḌ jaatī hai tadbīr se pahle
maarā hai mujhe ḳhanjar-e-abrū se kisī ne
nahlā.īyo āb-e-dam-e-shamshīr se pahle
ghar se tire dīvāne ne jab paañv nikālā
chhāloñ ne qadam le liye zanjīr se pahle
kis tarah kahūñ aap ke hoñToñ kī halāvat
lab band hue jaate haiñ taqrīr se pahle
pāband-e-ġham-e-zulf kā marnā na chhupegā
pahuñchegī ḳhabar nāla-e-zanjīr se pahle
kis hausle par tālib-e-dīdār hai aalam
āñkheñ to laḌā le koī tasvīr se pahle
be-tāb hue yaar kī chuTkī se nikal kar
tiir aap taḌapne lage naḳhchīr se pahle
paane kī nahīñ dil kā Thikānā ḳhalish-e-ġham
jab tak na patā pūchhe tire tiir se pahle
ghabrāne se kyā kaam 'munīr'-e-jigar-afkār
tū arz to kar hazrat-e-shabbīr se pahle
qaidi hun sar-e-zulf-e-girah-gir se pahle
paband hun paidaish-e-zanjir se pahle
sar-gashta hun daur-e-falak-e-pir se pahle
gardish mein hun main gardish-e-taqdir se pahle
kya lati hai teri nigah-e-qahr ka muzhda
dauDe hue aati hai ajal tir se pahle
nalon se unhen hoti hai nafrat ewaz-e-lutf
taqdir bigaD jati hai tadbir se pahle
mara hai mujhe KHanjar-e-abru se kisi ne
nahlaiyo aab-e-dam-e-shamshir se pahle
ghar se tere diwane ne jab panw nikala
chhaalon ne qadam le liye zanjir se pahle
kis tarah kahun aap ke honTon ki halawat
lab band hue jate hain taqrir se pahle
paband-e-gham-e-zulf ka marna na chhupega
pahunchegi KHabar nala-e-zanjir se pahle
kis hausle par talib-e-didar hai aalam
aankhen to laDa le koi taswir se pahle
be-tab hue yar ki chuTki se nikal kar
tir aap taDapne lage naKHchir se pahle
pane ki nahin dil ka Thikana KHalish-e-gham
jab tak na pata puchhe tere tir se pahle
ghabrane se kya kaam 'munir'-e-jigar-afkar
tu arz to kar hazrat-e-shabbir se pahle
- Muntakhabul-Alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.