qais-e-be-KHana ki manzil aae
qais-e-be-ḳhāna kī manzil aa.e
saaya sā jab pas-e-mahmil aa.e
haañ vahī sūrat-e-mahtābī phir
nisf-shab baa'd ba-mahfil aa.e
us pe taqsīm to kiije ḳhud ko
kyā zarūrī hai ki hāsil aa.e
gardish-e-vaqt bhī kyā marham hai
ḳhud-ba-ḳhud zaḳhm ka.ī sil aa.e
rāsta dekh rahā hai apnā
kaash ki gosha-nashīñ mil aa.e
qais-e-be-KHana ki manzil aae
saya sa jab pas-e-mahmil aae
han wahi surat-e-mahtabi phir
nisf-shab ba'd ba-mahfil aae
us pe taqsim to kije KHud ko
kya zaruri hai ki hasil aae
gardish-e-waqt bhi kya marham hai
KHud-ba-KHud zaKHm kai sil aae
rasta dekh raha hai apna
kash ki gosha-nashin mil aae
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 65)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.