qais ka ishq mere ishq ka meyar nahin
qais kā 'ishq mire 'ishq kā me'yār nahīñ
sirf lailā.ī thā vo maañ kā vafādār nahīñ
'ishq meñ vo hai mirā peshvā ai qais-mizāj
jis ke kirdār ke jaisā koī kirdār nahīñ
tere māñ-bāp kī 'izzat hai mujhe tujh se 'azīz
aisā hargiz na samajh tujh se mujhe pyaar nahīñ
terī āñkhoñ se chhalakte hue ashkoñ kī qasam
koī duniyā meñ tirā mujh sā talabgār nahīñ
ghar kī dīvāreñ gulāboñ se munaqqash kī haiñ
vo kiyā hai chaman ījād jahāñ ḳhaar nahīñ
abhī fe se bhī bahut duur ho fankārī ke
abhī dā'vā na karo tum abhī fankār nahīñ
fat.h se qabl tujhe hogī ka.ī baar shikast
itnī āsān to ai haar mirī haar nahīñ
sarqa-bāzī pe bhī milte haiñ unheñ surḳh gulāb
naam me'yār hai ab daad kā ash'ār nahīñ
us ne vo pyaar jo ḳhairāt meñ baḳhshā thā 'sa'ūd'
anginat baar jatāyā koī ik baar nahīñ
qais ka 'ishq mere 'ishq ka me'yar nahin
sirf lailai tha wo man ka wafadar nahin
'ishq mein wo hai mera peshwa ai qais-mizaj
jis ke kirdar ke jaisa koi kirdar nahin
tere man-bap ki 'izzat hai mujhe tujh se 'aziz
aisa hargiz na samajh tujh se mujhe pyar nahin
teri aankhon se chhalakte hue ashkon ki qasam
koi duniya mein tera mujh sa talabgar nahin
ghar ki diwaren gulabon se munaqqash ki hain
wo kiya hai chaman ijad jahan KHar nahin
abhi fe se bhi bahut dur ho fankari ke
abhi da'wa na karo tum abhi fankar nahin
fath se qabl tujhe hogi kai bar shikast
itni aasan to ai haar meri haar nahin
sarqa-bazi pe bhi milte hain unhen surKH gulab
nam me'yar hai ab dad ka ash'ar nahin
us ne wo pyar jo KHairaat mein baKHsha tha 'sa'ud'
anginat bar jataya koi ek bar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.