qalam ho tegh ho tesha ki Dhaal mat chhino
qalam ho teġh ho tesha ki Dhaal mat chhīno
kabhī kisī se kisī kā kamāl mat chhīno
ḳhushī isī meñ agar hai to har ḳhushī le lo
ye dukh ye dard ye huzn-o-malāl mat chhīno
isī ḳhalish ke sabab phir mujhe ubharnā hai
ḳhudā ke vāste ahd-e-zavāl mat chhīno
maiñ chhoḌ saktā nahīñ saath istaqāmat kā
mirī azaan se joshe-e-bilāl mat chhīno
abhī kitāb na chhīno tum in ke hāthoñ se
hamāre bachchoñ kā husn-o-jamāl mat chhīno
hamārī aañkh meñ yādoñ ke zaḳhm rahne do
hamāre haath se phūloñ kī Daal mat chhīno
abhī bujhāo na candle na cake kaaTo abhī
kuchh aur der mirā pichhlā saal mat chhīno
qalam ho tegh ho tesha ki Dhaal mat chhino
kabhi kisi se kisi ka kamal mat chhino
KHushi isi mein agar hai to har KHushi le lo
ye dukh ye dard ye huzn-o-malal mat chhino
isi KHalish ke sabab phir mujhe ubharna hai
KHuda ke waste ahd-e-zawal mat chhino
main chhoD sakta nahin sath istaqamat ka
meri azan se joshe-e-bilal mat chhino
abhi kitab na chhino tum in ke hathon se
hamare bachchon ka husn-o-jamal mat chhino
hamari aankh mein yaadon ke zaKHm rahne do
hamare hath se phulon ki Dal mat chhino
abhi bujhao na candle na cake kaTo abhi
kuchh aur der mera pichhla sal mat chhino
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.