Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qalam ki nok se aisa hisar kar lenge

Mohammad Iqbal Ahmad

qalam ki nok se aisa hisar kar lenge

Mohammad Iqbal Ahmad

MORE BYMohammad Iqbal Ahmad

    qalam nok se aisā hisār kar leñge

    ham apne aap ko bhī shahryār kar leñge

    nayā hai josh abhī aur na.e irāde haiñ

    ham apne mas.aloñ ko ustuvār kar leñge

    agar hai jurm mohabbat zamāne vāloñ se

    ḳhatā.eñ aisī phir ham baar baar kar leñge

    bas ek baar mulāqāt kar vā'da

    tamām 'umr tirā intizār kar leñge

    kabhī jo haath meñ tasvīr terī aa.egī

    tumhārī yaad meñ dil be-qarār kar leñge

    aTuuT pyaar hai jin ko zabān-e-urdu se

    ham un ko dost meñ apne shumār kar leñge

    buland hausla 'iqbāl' hai dost abhī

    ḳhizāñ fasl ko ham barg-o-bār kar leñge

    qalam ki nok se aisa hisar kar lenge

    hum apne aap ko bhi shahryar kar lenge

    naya hai josh abhi aur nae irade hain

    hum apne masalon ko ustuwar kar lenge

    agar hai jurm mohabbat zamane walon se

    KHataen aisi phir hum bar bar kar lenge

    bas ek bar mulaqat ka tu kar wa'da

    tamam 'umr tera intizar kar lenge

    kabhi jo hath mein taswir teri aaegi

    tumhaari yaad mein dil be-qarar kar lenge

    aTuT pyar hai jin ko zaban-e-urdu se

    hum un ko dost mein apne shumar kar lenge

    buland hausla 'iqbaal' ka hai dost abhi

    KHizan ki fasl ko hum barg-o-bar kar lenge

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now