qalam ko KHun mein gharqab dekhte jao
qalam ko ḳhuun meñ ġharqāb dekhte jaao
zamīn-e-sher ko shādāb dekhte jaao
nigāh hote hue sail-e-ḳhūñ pe chup rahnā
hamāre shahr ke ādāb dekhte jaao
pahuñch ga.ī hai sar-e-arsh un kī ḳhāmoshī
ki kushtagāñ ko zafar-yāb dekhte jaao
sajā.e māthe pe apnī tamām tā'bīreñ
hamārī aañkh ke sab ḳhvāb dekhte jaao
sulag rahā hai koī aur jal rahā hai koī
gharoñ kī ye bhī tab-o-tāb dekhte jaao
har ek qabr pe likkhā huā hai naam yahāñ
hamāre mimbar-o-mehrāb dekhte jaao
ġharaz ke saiñkaḌoñ bāzār khul ga.e lekin
ḳhulūs ho gayā nāyāb dekhte jaao
qalam ko KHun mein gharqab dekhte jao
zamin-e-sher ko shadab dekhte jao
nigah hote hue sail-e-KHun pe chup rahna
hamare shahr ke aadab dekhte jao
pahunch gai hai sar-e-arsh un ki KHamoshi
ki kushtagan ko zafar-yab dekhte jao
sajae mathe pe apni tamam ta'biren
hamari aankh ke sab KHwab dekhte jao
sulag raha hai koi aur jal raha hai koi
gharon ki ye bhi tab-o-tab dekhte jao
har ek qabr pe likkha hua hai nam yahan
hamare mimbar-o-mehrab dekhte jao
gharaz ke sainkaDon bazar khul gae lekin
KHulus ho gaya nayab dekhte jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.