qalam ko mustaid-e-hubb-e-jah likh lije
qalam ko musta.id-e-hubb-e-jāh likh liije
mire gunāhoñ meñ aur ik gunāh likh liije
mirā ḳhayāl thā ham koh-e-rūh sar karte
badal ke hijje ise aap kaah likh liije
buland imāratoñ meñ bas ga.ī hai vīrānī
diloñ meñ chāheñ to shahr-e-tabāh likh liije
is aañkh meñ koī manzar rahā na ḳhvāb rahā
ab is ke baa'd bhī is ko nigāh likh liije
kitāb-e-haq meñ zamīñ milkiyat hai allah kī
arab meñ milkiyat-e-bādshah likh liije
dabā.e baiThe haiñ hoñToñ meñ jis ko mimbar par
qalam ke lab pe use sard aah likh liije
baḌā azaab to har qaum par zarūrī nahīñ
ik aah ko nafas-e-intibāh likh liije
ye ḳhushk pattiyāñ āñchal haiñ kahkashāñ kā miyāñ
harī zamīñ pe hai is ko gayāh likh liije
kisī bhī sinf meñ zehn aap kā chale na chale
qalam hai haath meñ bas ḳhvā-maḳhvāh likh liije
unheñ to guftugū karne meñ bhī takalluf hai
magar musir haiñ use rasm-o-rāh likh liije
dukhoñ kī gintī se kaalī hai zindagī kī kitāb
to jantarī meñ unheñ sāl-o-māh likh liije
qalam ko mustaid-e-hubb-e-jah likh lije
mere gunahon mein aur ek gunah likh lije
mera KHayal tha hum koh-e-ruh sar karte
badal ke hijje ise aap kah likh lije
buland imaraton mein bas gai hai virani
dilon mein chahen to shahr-e-tabah likh lije
is aankh mein koi manzar raha na KHwab raha
ab is ke ba'd bhi is ko nigah likh lije
kitab-e-haq mein zamin milkiyat hai allah ki
arab mein milkiyat-e-baadshah likh lije
dabae baiThe hain honTon mein jis ko mimbar par
qalam ke lab pe use sard aah likh lije
baDa azab to har qaum par zaruri nahin
ek aah ko nafas-e-intibah likh lije
ye KHushk pattiyan aanchal hain kahkashan ka miyan
hari zamin pe hai is ko gayah likh lije
kisi bhi sinf mein zehn aap ka chale na chale
qalam hai hath mein bas KHwa-maKHwah likh lije
unhen to guftugu karne mein bhi takalluf hai
magar musir hain use rasm-o-rah likh lije
dukhon ki ginti se kali hai zindagi ki kitab
to jantari mein unhen sal-o-mah likh lije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.