qalam mein ashk bhar kar likh rahi hun dard kaghaz par
qalam meñ ashk bhar kar likh rahī huuñ dard kāġhaz par
bikhere jā rahī huuñ hasratoñ ko sard kāġhaz par
taḌap aurat ke dil kī sirf ik aurat samajhtī hai
bas apnī ḳhvāhishoñ ko likh rahe haiñ mard kāġhaz par
chalo maanā ki kah lene se dukh halkā hī hotā hai
magar kuchh hī paloñ meñ itnā saarā dard kāġhaz par
yūñhī bas aaj maiñ ne ik purānī Diary kholī
jamī thī kab se yādoñ kī purānī gard kāġhaz par
nisā.ī karb likhne kā hunar ham ko hī aatā hai
hukūmat apnī sābit kar rahe haiñ mard kāġhaz par
tabhī jā kar ġhazal ko ik na.e paikar meñ Dhālā hai
lahū kī surḳh būñdeñ jab girī hai zard kāġhaz par
namī se gal bhī sakte haiñ sharar se jal bhī sakte haiñ
bharosā kar rahī haiñ kyoñ 'siyā' be-dard kāġhaz par
qalam mein ashk bhar kar likh rahi hun dard kaghaz par
bikhere ja rahi hun hasraton ko sard kaghaz par
taDap aurat ke dil ki sirf ek aurat samajhti hai
bas apni KHwahishon ko likh rahe hain mard kaghaz par
chalo mana ki kah lene se dukh halka hi hota hai
magar kuchh hi palon mein itna sara dard kaghaz par
yunhi bas aaj main ne ek purani Diary kholi
jami thi kab se yaadon ki purani gard kaghaz par
nisai karb likhne ka hunar hum ko hi aata hai
hukumat apni sabit kar rahe hain mard kaghaz par
tabhi ja kar ghazal ko ek nae paikar mein Dhaala hai
lahu ki surKH bunden jab giri hai zard kaghaz par
nami se gal bhi sakte hain sharar se jal bhi sakte hain
bharosa kar rahi hain kyon 'siya' be-dard kaghaz par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.