qalb-e-alam-nasib ki tishna-labi bujhae ja
qalb-e-alam-nasīb kī tishna-labī bujhā.e jā
ai mere sāqiyā mujhe shām-o-sahar pilā.e jā
ai dil-e-be-qarār sun rone se fā.eda hai kyā
jis ne bhulā diyā tujhe tū bhī use bhulā.e jā
barsar-e-bām aa ke tū parda-e-ruḳh haTā zarā
ham bhī haiñ sāhib-e-nazar ham ko bhī āzmā.e jā
zauq-e-tulū-e-sub.h bhī degī ye tīrgī tujhe
raat tavīl hai to kyā dil kā diyā jalā.e jā
jān-e-bahār-e-gulsitāñ zohra-jamāl nāznīñ
'nayyar'-e-ḳhush-ḳhayāl ke fikr-o-nazar pe chhā.e jā
qalb-e-alam-nasib ki tishna-labi bujhae ja
ai mere saqiya mujhe sham-o-sahar pilae ja
ai dil-e-be-qarar sun rone se faeda hai kya
jis ne bhula diya tujhe tu bhi use bhulae ja
barsar-e-baam aa ke tu parda-e-ruKH haTa zara
hum bhi hain sahib-e-nazar hum ko bhi aazmae ja
zauq-e-tulu-e-subh bhi degi ye tirgi tujhe
raat tawil hai to kya dil ka diya jalae ja
jaan-e-bahaar-e-gulsitan zohra-jamal naznin
'nayyar'-e-KHush-KHayal ke fikr-o-nazar pe chhae ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.