qalb-e-gham-KHurda ke haalat kise pesh karun
qalb-e-gham-KHurda ke haalat kise pesh karun
Syed Husain Ali Jafri
MORE BYSyed Husain Ali Jafri
qalb-e-ġham-ḳhurda ke hālāt kise pesh karūñ
Thes khaa.e hue jazbāt kise pesh karūñ
aaheñ bharte hue lamhāt kise pesh karūñ
hasrat-o-yās ke din-rāt kise pesh karūñ
merī mahrūmī-e-qismat ye batā de mujh ko
apne armānoñ kī bārāt kise pesh karūñ
hashr meñ aaya huuñ maiñ tohfa-e-isyāñ le kar
sochtā huuñ ki ye sauġhāt kise pesh karūñ
hāsil-e-zīst haiñ duniyā meñ ḳharābāt mire
vaqt-e-ruḳhsat ye ḳharābāt kise pesh karūñ
kis ko dam-sāz karūñ apnī siyah-baḳhtī kā
ġham meñ Duubī huī ye raat kise pesh karūñ
raqs karte hue maiḳhāne pe chhā.e bādal
kaif-bar-dosh ye barsāt kise pesh karūñ
rū-e-raushan kā tasavvur kabhī zulfoñ kā ḳhayāl
din kise pesh karūñ raat kise pesh karūñ
aadmī ab bhī nahīñ jins-e-vafā se vāqif
maiñ vafāoñ kī ye sauġhāt kise pesh karūñ
jo zabāñ kī kabhī sharminda-e-ehsāñ na huī
'ja.afarī' dil kī vo ik baat kise pesh karūñ
qalb-e-gham-KHurda ke haalat kise pesh karun
Thes khae hue jazbaat kise pesh karun
aahen bharte hue lamhat kise pesh karun
hasrat-o-yas ke din-raat kise pesh karun
meri mahrumi-e-qismat ye bata de mujh ko
apne armanon ki baraat kise pesh karun
hashr mein aaya hun main tohfa-e-isyan le kar
sochta hun ki ye saughat kise pesh karun
hasil-e-zist hain duniya mein KHarabaat mere
waqt-e-ruKHsat ye KHarabaat kise pesh karun
kis ko dam-saz karun apni siyah-baKHti ka
gham mein Dubi hui ye raat kise pesh karun
raqs karte hue maiKHane pe chhae baadal
kaif-bar-dosh ye barsat kise pesh karun
ru-e-raushan ka tasawwur kabhi zulfon ka KHayal
din kise pesh karun raat kise pesh karun
aadmi ab bhi nahin jins-e-wafa se waqif
main wafaon ki ye saughat kise pesh karun
jo zaban ki kabhi sharminda-e-ehsan na hui
'jafari' dil ki wo ek baat kise pesh karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.