qalb-e-insan mein jab raushni ho gai
qalb-e-insāñ meñ jab raushnī ho ga.ī
duur duniyā kī sab tīrgī ho ga.ī
ne.amat-e-ġham har ik kā muqaddar nahīñ
ye jise bhī atā ho ga.ī ho ga.ī
manzileñ rah ga.iiñ ban ke gard-e-safar
rāhbar merī vāraftagī ho ga.ī
miT ga.ī dil se har ārzū-e-tarab
ġham kī lazzat se jab āgahī ho ga.ī
jab bhulāyā unheñ zulmateñ chhā ga.iiñ
jab vo yaad aa ga.e raushnī ho ga.ī
un ke dāman kī ḳhushbū se mahkī fazā
un ke ruḳh kī ziyā chāñdnī ho ga.ī
dair-o-ka.aba se ham ko nahīñ kuchh ġharaz
sar jahāñ jhuk gayā bandagī ho ga.ī
raas aatā hai 'sābir' tabassum kise
āfat-e-jāñ guloñ kī hañsī ho ga.ī
qalb-e-insan mein jab raushni ho gai
dur duniya ki sab tirgi ho gai
neamat-e-gham har ek ka muqaddar nahin
ye jise bhi ata ho gai ho gai
manzilen rah gain ban ke gard-e-safar
rahbar meri waraftagi ho gai
miT gai dil se har aarzu-e-tarab
gham ki lazzat se jab aagahi ho gai
jab bhulaya unhen zulmaten chha gain
jab wo yaad aa gae raushni ho gai
un ke daman ki KHushbu se mahki faza
un ke ruKH ki ziya chandni ho gai
dair-o-kaba se hum ko nahin kuchh gharaz
sar jahan jhuk gaya bandagi ho gai
ras aata hai 'sabir' tabassum kise
aafat-e-jaan gulon ki hansi ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.