qalb ki banjar zamin par KHwahishen bote hue
qalb kī banjar zamīñ par ḳhvāhisheñ bote hue
ḳhud ko aksar dekhtā huuñ ḳhvāb meñ rote hue
dasht-e-vīrāñ kā safar hai aur nazar ke sāmne
mo.ajaze dar mo.ajaze dar mo.ajaze hote hue
gāmzan haiñ ham musalsal ajnabī manzil kī or
zindagī kī aarzū meñ zindagī khote hue
kal mire ham-zād ne mujh se kiyā dilkash savāl
kis ko detā huuñ sadā.eñ raat bhar sote hue
ast hotā jā rahā hai ek sūraj us taraf
is taraf vo dikh rahā hai phir uday hote hue
qalb ki banjar zamin par KHwahishen bote hue
KHud ko aksar dekhta hun KHwab mein rote hue
dasht-e-viran ka safar hai aur nazar ke samne
moajaze dar moajaze dar moajaze hote hue
gamzan hain hum musalsal ajnabi manzil ki or
zindagi ki aarzu mein zindagi khote hue
kal mere ham-zad ne mujh se kiya dilkash sawal
kis ko deta hun sadaen raat bhar sote hue
ast hota ja raha hai ek suraj us taraf
is taraf wo dikh raha hai phir uday hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.