qalb-o-jaan mein husn ki gahraiyan rah jaengi
qalb-o-jāñ meñ husn kī gahrā.iyāñ rah jā.eñgī
tū vo sūraj hai tirī parchhā.iyāñ rah jā.eñgī
ahl-e-dil ko yaad sadiyoñ aa.egā merā junūñ
shohrateñ hoñgī fanā rusvā.iyāñ rah jā.eñgī
guftugū tujh se kareñgī merī ġhazleñ sub.h-o-shām
terī ḳhalvat meñ mirī tanhā.iyāñ rah jā.eñgī
maiñ nikal jā.ūñgā apnī justujū meñ ek din
bazm-e-yārāñ meñ ḳhayāl-ārā.iyāñ rah jā.eñgī
duur tak koī na hogā naġhma-sanjoñ meñ 'na.īm'
bas chaman meñ yaad kī purvā.iyāñ rah jā.eñgī
qalb-o-jaan mein husn ki gahraiyan rah jaengi
tu wo suraj hai teri parchhaiyan rah jaengi
ahl-e-dil ko yaad sadiyon aaega mera junun
shohraten hongi fana ruswaiyan rah jaengi
guftugu tujh se karengi meri ghazlen subh-o-sham
teri KHalwat mein meri tanhaiyan rah jaengi
main nikal jaunga apni justuju mein ek din
bazm-e-yaran mein KHayal-araiyan rah jaengi
dur tak koi na hoga naghma-sanjon mein 'naim'
bas chaman mein yaad ki purwaiyan rah jaengi
- Book : Kulliyat-e-Hasan Naim (Pg. 200)
- Author : Ahmad Kafeel
- Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.