qalil aap nahin aur hum kasir nahin
qalīl aap nahīñ aur ham kasīr nahīñ
huqūq sab ke haiñ yaksāñ koī haqīr nahīñ
jo vaqt aa.e to merā bhī imtihāñ le lo
vafā-shi.ār huuñ murda mirā zamīr nahīñ
paḌe jo vaqt to faulād se bhī Takrā.e
mirā vajūd faqat ḳhaak kā ḳhamīr nahīñ
mire vajūd se nafrat tumheñ hai kyā ma.anī
bahut aham huuñ tumhāre liye haqīr nahīñ
bharī bahār meñ manzar ḳhizāñ kā lagtā hai
chaman meñ phuul qafas meñ koī asiir nahīñ
darāz koī bhī kartā nahīñ hai dast-e-talab
hamāre shahr meñ shāyad koī faqīr nahīñ
kahīñ vo apnī Dagar se bhaTak na jaa.e 'habīb'
rah-e-talab kī jamā.at kā jab amiir nahīñ
qalil aap nahin aur hum kasir nahin
huquq sab ke hain yaksan koi haqir nahin
jo waqt aae to mera bhi imtihan le lo
wafa-shiar hun murda mera zamir nahin
paDe jo waqt to faulad se bhi Takrae
mera wajud faqat KHak ka KHamir nahin
mere wajud se nafrat tumhein hai kya mani
bahut aham hun tumhaare liye haqir nahin
bhari bahaar mein manzar KHizan ka lagta hai
chaman mein phul qafas mein koi asir nahin
daraaz koi bhi karta nahin hai dast-e-talab
hamare shahr mein shayad koi faqir nahin
kahin wo apni Dagar se bhaTak na jae 'habib'
rah-e-talab ki jamaat ka jab amir nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.