qamar ki wo KHurshid taswir hai
qamar kī vo ḳhurshīd tasvīr hai
gale meñ sitāroñ kī zanjīr hai
kahāñ pā-e-jānāñ kahāñ merā sar
ye taal.e ye qismat ye taqdīr hai
ḳhafā aap se aap hote ho kyuuñ
batā do jo kuchh merī taqsīr hai
na kholo ḳhat us kā dhaḌaktā hai dil
ḳhudā jaane kyā is meñ tahrīr hai
numāyāñ hai qaus-e-quzah abr meñ
misī par likhauTe kī tahrīr hai
munāsib hai kuchh khā ke mar jaao 'barq'
yahī dard-e-furqat kī tadbīr hai
qamar ki wo KHurshid taswir hai
gale mein sitaron ki zanjir hai
kahan pa-e-jaanan kahan mera sar
ye tale ye qismat ye taqdir hai
KHafa aap se aap hote ho kyun
bata do jo kuchh meri taqsir hai
na kholo KHat us ka dhaDakta hai dil
KHuda jaane kya is mein tahrir hai
numayan hai qaus-e-quzah abr mein
misi par likhauTe ki tahrir hai
munasib hai kuchh kha ke mar jao 'barq'
yahi dard-e-furqat ki tadbir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.