qarar dida-o-dil mein raha nahin hai bahut
qarār dīda-o-dil meñ rahā nahīñ hai bahut
nazar-navāz mire koī gul surīñ hai bahut
rakhā na ho kisī ḳhvāhish ne sar ba-ḳhūñ is ko
tumhārā hoñT ka.ī din se ātishīñ hai bahut
milā nahīñ hai mujhe vo magar patā hai mujhe
vo dūsroñ ke liye bhī bachā nahīñ hai bahut
khulā na ek bhī dar sar-kashīdgī pe mirī
huā huuñ ḳhaak to dāman-kushā zamīñ hai bahut
rakhā huā thā sar-e-tāq-e-dil ik ā.īna
bahut dinoñ se koī ā.ina-nashīñ hai bahut
tumhārā husn hī sho.ala-fazā nahīñ hai mujhe
mirā lahū bhī ka.ī din se ātishīñ hai bahut
maiñ lahr lahr use jism-o-jāñ pe oḌhtā huuñ
ġhilāf aisā tirā lams-e-maḳhmalīñ hai bahut
qarar dida-o-dil mein raha nahin hai bahut
nazar-nawaz mere koi gul surin hai bahut
rakha na ho kisi KHwahish ne sar ba-KHun is ko
tumhaara honT kai din se aatishin hai bahut
mila nahin hai mujhe wo magar pata hai mujhe
wo dusron ke liye bhi bacha nahin hai bahut
khula na ek bhi dar sar-kashidgi pe meri
hua hun KHak to daman-kusha zamin hai bahut
rakha hua tha sar-e-taq-e-dil ek aaina
bahut dinon se koi aaina-nashin hai bahut
tumhaara husn hi shoala-faza nahin hai mujhe
mera lahu bhi kai din se aatishin hai bahut
main lahr lahr use jism-o-jaan pe oDhta hun
ghilaf aisa tera lams-e-maKHmalin hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.