qarar dil ko na aaya to be-qarar chale
qarār dil ko na aayā to be-qarār chale
kahāñ kahāñ na mohabbat ke sogvār chale
guzar nahīñ thā suhūlat se zindagī kā jahāñ
vahāñ guzār ke aa.e yahāñ guzār chale
chalegā kufr kā ġhalba magar kisī had tak
muhāl hai ki tashaddud kā eqtidār chale
vahāñ pe bahs se behtar hai gahrī ḳhāmoshī
jahāñ pe tūl-kalāmī na iḳhtisār chale
darūn-e-bazm-e-raqībāñ miyān-e-ham-suḳhanāñ
kahīñ to bahr-e-ḳhudā aaj zikr-e-yār chale
qarar dil ko na aaya to be-qarar chale
kahan kahan na mohabbat ke sogwar chale
guzar nahin tha suhulat se zindagi ka jahan
wahan guzar ke aae yahan guzar chale
chalega kufr ka ghalba magar kisi had tak
muhaal hai ki tashaddud ka eqtidar chale
wahan pe bahs se behtar hai gahri KHamoshi
jahan pe tul-kalami na iKHtisar chale
darun-e-bazm-e-raqiban miyan-e-ham-suKHanan
kahin to bahr-e-KHuda aaj zikr-e-yar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.