qarar-e-dil fasana ho gaya hai
qarār-e-dil fasāna ho gayā hai
tumheñ dekhe zamāna ho gayā hai
tumhāre va.ada-e-fardā kā hiila
qayāmat kā bahāna ho gayā hai
purāne dostoñ ke ghar sunā hai
tumhārā ānā-jānā ho gayā hai
tumhāre zulm ke la.al-o-gohar sab
hamārā dil ḳhazāna ho gayā hai
duā.eñ deñ mire siine ko un kā
bahut achchhā nishāna ho gayā hai
ra.īsāna ġhazal hai bait-dar-bait
ġharīboñ kā Thikāna ho gayā hai
qarar-e-dil fasana ho gaya hai
tumhein dekhe zamana ho gaya hai
tumhaare wada-e-farda ka hila
qayamat ka bahana ho gaya hai
purane doston ke ghar suna hai
tumhaara aana-jaana ho gaya hai
tumhaare zulm ke lal-o-gohar sab
hamara dil KHazana ho gaya hai
duaen den mere sine ko un ka
bahut achchha nishana ho gaya hai
raisana ghazal hai bait-dar-bait
gharibon ka Thikana ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.