qarar is dil ko aana ab zaruri to nahin hai
qarār is dil ko aanā ab zarūrī to nahīñ hai
nayā ik ġham basānā ab zarūrī to nahīñ hai
zarūrī to nahīñ hai ab use āvāz denā
aur us kā lauT aanā ab zarūrī to nahīñ hai
zarā sā muskurā dene meñ ab kaisā taraddud
ki itnā ġham chhupānā ab zarūrī to nahīñ hai
to kyā ḳhāmosh rah kar bhī sunā.ī de rahā huuñ
magar sab kuchh chhupānā ab zarūrī to nahīñ hai
sañvarne ke liye betāb hai dil chashm-e-nam meñ
ye ā.īna dikhānā ab zarūrī to nahīñ hai
hunar ḳhvāboñ meñ dar aane kā ham bhī jānte haiñ
par us ko āzmānā ab zarūrī to nahīñ hai
zarūrī to nahīñ hai ab har ik va.ada nibhānā
har ik va.ada nibhānā ab zarūrī to nahīñ hai
qarar is dil ko aana ab zaruri to nahin hai
naya ek gham basana ab zaruri to nahin hai
zaruri to nahin hai ab use aawaz dena
aur us ka lauT aana ab zaruri to nahin hai
zara sa muskura dene mein ab kaisa taraddud
ki itna gham chhupana ab zaruri to nahin hai
to kya KHamosh rah kar bhi sunai de raha hun
magar sab kuchh chhupana ab zaruri to nahin hai
sanwarne ke liye betab hai dil chashm-e-nam mein
ye aaina dikhana ab zaruri to nahin hai
hunar KHwabon mein dar aane ka hum bhi jaante hain
par us ko aazmana ab zaruri to nahin hai
zaruri to nahin hai ab har ek wada nibhana
har ek wada nibhana ab zaruri to nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.