qarar kho ke mila ye waqar thoDa sa
qarār kho ke milā ye vaqār thoḌā sā
vo sang-dil bhī huā ashk-bār thoḌā sā
kisī ke jalve nigāhoñ meñ jazb kar letā
dam-e-nazāra jo miltā qarār thoḌā sā
kiyā kalīm ko armān-e-dīd ne rusvā
dikhā ke jalva-e-parvardigār thoḌā sā
maiñ aaj vāqif-e-asrār ho gayā saaqī
zarā sī pī ke jo aaya ḳhumār thoḌā sā
tamām ābla-pā.ī kī shaan miT jaatī
kahīñ bhī chubh gayā hotā jo ḳhaar thoḌā sā
baḌe pate kī batā.ūñ baḌe maze kī kahūñ
jo aap mujh pe kareñ e.atibār thoḌā sā
kisī kī yaad ba-hangām-e-naza.a kahtī hai
ḳhudā ke vāste aur intizār thoḌā sā
vahīñ kahīñ mujhe saaqī zarā pilā denā
jahāñ kahīñ ho nashe kā utaar thoḌā sā
jo dekhtā hai mirī be-qarāriyāñ 'shabbīr'
usī ko dekhtā huuñ be-qarār thoḌā sā
qarar kho ke mila ye waqar thoDa sa
wo sang-dil bhi hua ashk-bar thoDa sa
kisi ke jalwe nigahon mein jazb kar leta
dam-e-nazara jo milta qarar thoDa sa
kiya kalim ko arman-e-did ne ruswa
dikha ke jalwa-e-parwardigar thoDa sa
main aaj waqif-e-asrar ho gaya saqi
zara si pi ke jo aaya KHumar thoDa sa
tamam aabla-pai ki shan miT jati
kahin bhi chubh gaya hota jo KHar thoDa sa
baDe pate ki bataun baDe maze ki kahun
jo aap mujh pe karen eatibar thoDa sa
kisi ki yaad ba-hangam-e-naza kahti hai
KHuda ke waste aur intizar thoDa sa
wahin kahin mujhe saqi zara pila dena
jahan kahin ho nashe ka utar thoDa sa
jo dekhta hai meri be-qarariyan 'shabbir'
usi ko dekhta hun be-qarar thoDa sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.