Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qarar par na milo iztirab ho ki na ho

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

qarar par na milo iztirab ho ki na ho

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    qarār par na milo iztirāb ho ki na ho

    sharāb ġhair ko do dil kabāb ho ki na ho

    phañsā hai jis ke ġham-o-pech meñ hamārā dil

    vo zulf ġhair chhue pech-o-tāb ho ki na ho

    gulābī āñkhoñ se saaqī dil bache kyūñkar

    sharābiyoñ meñ jo baiThe ḳharāb ho ki na ho

    kahāñ tak ashk se aa.e na bū-e-dāġh-e-jigar

    araq guloñ jo khīñcho gulāb ho ki na ho

    kamāl kyoñ ki na ho dil ko kāhish-e-ġham meñ

    hilāl jab ki huā māhtāb ho ki na ho

    vo maah mahr se aa.e to rashk kyā ai charḳh

    kabhī qirān-e-mah-o-āftāb ho ki na ho

    shuā-e-mahr sūrat hai tāb-e-āriz-e-yār

    nazar Thahar nahīñ saktī naqāb ho ki na ho

    gayā jo tālib-e-chāh-e-zakan dil-e-betāb

    kuñ.eñ pe tishna-lab aatā hai aab ho ki na ho

    agarche dil nahīñ lekin maiñ aaheñ bhartā huuñ

    sabaq to nok-e-zabāñ hai kitāb ho ki na ho

    na bosa-e-lab-e-jāñ-baḳhsh do jo kar ke savāl

    to zindagānī se goyā javāb ho ki na ho

    'nasīm' ġhuncha-dahānoñ se bosa kyoñ māñgā

    karo jo baat aisī itaab ho ki na ho

    qarar par na milo iztirab ho ki na ho

    sharab ghair ko do dil kabab ho ki na ho

    phansa hai jis ke gham-o-pech mein hamara dil

    wo zulf ghair chhue pech-o-tab ho ki na ho

    gulabi aankhon se saqi ki dil bache kyunkar

    sharabiyon mein jo baiThe KHarab ho ki na ho

    kahan tak ashk se aae na bu-e-dagh-e-jigar

    araq gulon ka jo khincho gulab ho ki na ho

    kamal kyon ki na ho dil ko kahish-e-gham mein

    hilal jab ki hua mahtab ho ki na ho

    wo mah mahr se aae to rashk kya ai charKH

    kabhi qiran-e-mah-o-aftab ho ki na ho

    shua-e-mahr ki surat hai tab-e-ariz-e-yar

    nazar Thahar nahin sakti naqab ho ki na ho

    gaya jo talib-e-chah-e-zakan dil-e-betab

    kunen pe tishna-lab aata hai aab ho ki na ho

    agarche dil nahin lekin main aahen bharta hun

    sabaq to nok-e-zaban hai kitab ho ki na ho

    na bosa-e-lab-e-jaan-baKHsh do jo kar ke sawal

    to zindagani se goya jawab ho ki na ho

    'nasim' ghuncha-dahanon se bosa kyon manga

    karo jo baat hi aisi itab ho ki na ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now