qarib aate hue aur dur jate hue
qarīb aate hue aur duur jaate hue
ye kaun log haiñ be-vaj.h muskurāte hue
ye lamhe sāz-e-azal se chhalak ke gir ga.e the
tabhī se yuuñ hī musalsal haiñ gungunāte hue
ik aisī samt jidhar kab se hū kā 'ālam hai
maiñ jā rahā huuñ akelā qadam baḌhāte hue
maiñ kab se dekh rahā huuñ 'ajīb sī harakat
mirā likhā huā kuchh log haiñ miTāte hue
jo dil ke paas the un se hai mā'rka darpesh
chalā huuñ jazboñ kī dīvār aaj Dhāte hue
qarib aate hue aur dur jate hue
ye kaun log hain be-wajh muskuraate hue
ye lamhe saz-e-azal se chhalak ke gir gae the
tabhi se yun hi musalsal hain gungunate hue
ek aisi samt jidhar kab se hu ka 'alam hai
main ja raha hun akela qadam baDhate hue
main kab se dekh raha hun 'ajib si harakat
mera likha hua kuchh log hain miTate hue
jo dil ke pas the un se hai ma'rka darpesh
chala hun jazbon ki diwar aaj Dhate hue
- Book : Shor ke darmayan (Pg. 44)
- Author : Jamal Owaisi
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.