qarib-e-dil KHarosh-e-sad-jahan hum
qarīb-e-dil ḳharosh-e-sad-jahāñ ham
jo tum sun lo tumhārī dāstāñ ham
kisī ko chāhne kī chaah meñ gum
jiye ban kar nigāh-e-tishnagāñ ham
har ik Thokar kī zad meñ laakh manzil
hameñ DhūñDo nasīb-e-gumrahāñ ham
hameñ samjho nigāh-e-nāz vaalo
laboñ par kāñptā harf-e-bayāñ ham
bujhī samtoñ kī is nagrī meñ 'amjad'
ubharte āftāboñ kī kamāñ ham
qarib-e-dil KHarosh-e-sad-jahan hum
jo tum sun lo tumhaari dastan hum
kisi ko chahne ki chah mein gum
jiye ban kar nigah-e-tishnagan hum
har ek Thokar ki zad mein lakh manzil
hamein DhunDo nasib-e-gumrahan hum
hamein samjho nigah-e-naz walo
labon par kanpta harf-e-bayan hum
bujhi samton ki is nagri mein 'amjad'
ubharte aaftabon ki kaman hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.