qarib-e-manzil bhaTak rahe hain kisi ko apni KHabar nahin hai
qarib-e-manzil bhaTak rahe hain kisi ko apni KHabar nahin hai
Ehsan Akhtar Ghazipuri
MORE BYEhsan Akhtar Ghazipuri
qarīb-e-manzil bhaTak rahe haiñ kisī ko apnī ḳhabar nahīñ hai
ḳhudā hī hāfiz hai kārvāñ kā ki raah hai rāhbar nahīñ hai
har ek zarre meñ jalva un kā har ek jalve meñ husn un kā
kahāñ jhukā.eñ jabīñ ko āḳhir kahāñ tirā sang-e-dar nahīñ hai
fareb-e-rahzan meñ dilkashī hai isī liye itnī be-ḳhudī hai
jise samajhte ho rāhbar tum vo asl meñ rāhbar nahīñ hai
na jaane sehn-e-chaman meñ kaisī chamak sī rah rah ke ho rahī hai
mire nasheman ke chaar tinko ye barq kī to nazar nahīñ hai
mire ḳhulūs-e-vafā kī manzil har ek manzil se muḳhtalif hai
rah-e-talab meñ chalā huuñ tanhā mirā koī ham-safar nahīñ hai
sharāb-ḳhāne meñ jām-e-mai kā surūr to muḳhtasar thā lekin
jo chashm-e-sāqī ne baḳhsh dī hai vo be-ḳhudī muḳhtasar nahīñ hai
jise na bahkā sakī kabhī bhī kisī kī āñkhoñ kī dilkashī bhī
use bas ik ghūñT hī meñ 'aḳhtar' kuchh aaj apnī ḳhabar nahīñ hai
qarib-e-manzil bhaTak rahe hain kisi ko apni KHabar nahin hai
KHuda hi hafiz hai karwan ka ki rah hai rahbar nahin hai
har ek zarre mein jalwa un ka har ek jalwe mein husn un ka
kahan jhukaen jabin ko aaKHir kahan tera sang-e-dar nahin hai
fareb-e-rahzan mein dilkashi hai isi liye itni be-KHudi hai
jise samajhte ho rahbar tum wo asl mein rahbar nahin hai
na jaane sehn-e-chaman mein kaisi chamak si rah rah ke ho rahi hai
mere nasheman ke chaar tinko ye barq ki to nazar nahin hai
mere KHulus-e-wafa ki manzil har ek manzil se muKHtalif hai
rah-e-talab mein chala hun tanha mera koi ham-safar nahin hai
sharab-KHane mein jam-e-mai ka surur to muKHtasar tha lekin
jo chashm-e-saqi ne baKHsh di hai wo be-KHudi muKHtasar nahin hai
jise na bahka saki kabhi bhi kisi ki aankhon ki dilkashi bhi
use bas ek ghunT hi mein 'aKHtar' kuchh aaj apni KHabar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.