qarib-e-wasl koi hadsa na ho jae
qarīb-e-vasl koī hādsa na ho jaa.e
kahīñ badan kī tamāzat fanā na ho jaa.e
yahī hai ḳhauf ki tujh paas ho ke bhī merī
ragoñ kā surḳh lahū mushtaba na ho jaa.e
jibillatoñ kā taqāzā ki tujh ko pahneñ ham
magar vo zaḳhm-e-tamannā harā na ho jaa.e
khile haiñ phuul sitāroñ ke ḳhush-gavār hai rut
qarīb aao ki mausam ḳhafā na ho jaa.e
lahū meñ tairtī añgḌā.iyoñ se bair na kar
shab-e-visāl junūñ sāneha na ho jaa.e
tarāshne meñ sukūñ thā magar maiñ Dartā huuñ
kahīñ ye aks-e-shagufta ḳhudā na ho jaa.e
qarib-e-wasl koi hadsa na ho jae
kahin badan ki tamazat fana na ho jae
yahi hai KHauf ki tujh pas ho ke bhi meri
ragon ka surKH lahu mushtaba na ho jae
jibillaton ka taqaza ki tujh ko pahnen hum
magar wo zaKHm-e-tamanna hara na ho jae
khile hain phul sitaron ke KHush-gawar hai rut
qarib aao ki mausam KHafa na ho jae
lahu mein tairti angDaiyon se bair na kar
shab-e-visal junun saneha na ho jae
tarashne mein sukun tha magar main Darta hun
kahin ye aks-e-shagufta KHuda na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.