qarib maut khaDi hai zara Thahar jao
qarīb maut khaḌī hai zarā Thahar jaao
qazā se aañkh laḌī hai zarā Thahar jaao
na jaao tum abhī tāroñ kā dil dhaḌaktā hai
tamām raat paḌī hai zarā Thahar jaao
bujhe bujhe se sitāre thakī thakī sī nigāh
baḌī udaas ghaḌī hai zarā Thahar jaao
nahīñ umiid ki ham aaj kī sahar dekheñ
ye raat ham pe kaḌī hai zarā Thahar jaao
'hayāt' kā dam-e-āḳhir nahīñ hai jān-e-hayāt
ye faisle kī ghaḌī hai zarā Thahar jaao
qarib maut khaDi hai zara Thahar jao
qaza se aankh laDi hai zara Thahar jao
na jao tum abhi taron ka dil dhaDakta hai
tamam raat paDi hai zara Thahar jao
bujhe bujhe se sitare thaki thaki si nigah
baDi udas ghaDi hai zara Thahar jao
nahin umid ki hum aaj ki sahar dekhen
ye raat hum pe kaDi hai zara Thahar jao
'hayat' ka dam-e-aKHir nahin hai jaan-e-hayat
ye faisle ki ghaDi hai zara Thahar jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.