qarib tum ho to har ek se dosti si lage
qarīb tum ho to har ik se dostī sī lage
jo tum ho duur to zaat apnī ajnabī sī lage
ḳhudā hī jaane hayāt apnī kis tarah guzre
baġhair un ke to ik pal bhī ik sadī sī lage
tum apnā kah ke pukāro kabhī to bhūle se
ye zindagī kabhī ham ko bhī zindagī sī lage
navāzishāt kā tālib nahīñ huuñ maiñ lekin
ab is tarah bhī na mil jis se be-ruḳhī sī lage
na pūchh kaifiyat-e-intizār ai hamdam
ki tez dhuup bhī is vaqt chāñdnī sī lage
ḳhushī to apne muqaddar meñ hī nahīñ 'dānish'
kisī ke ġham kī ye daulat bhī 'ārzī sī lage
qarib tum ho to har ek se dosti si lage
jo tum ho dur to zat apni ajnabi si lage
KHuda hi jaane hayat apni kis tarah guzre
baghair un ke to ek pal bhi ek sadi si lage
tum apna kah ke pukaro kabhi to bhule se
ye zindagi kabhi hum ko bhi zindagi si lage
nawazishat ka talib nahin hun main lekin
ab is tarah bhi na mil jis se be-ruKHi si lage
na puchh kaifiyat-e-intizar ai hamdam
ki tez dhup bhi is waqt chandni si lage
KHushi to apne muqaddar mein hi nahin 'danish'
kisi ke gham ki ye daulat bhi 'arzi si lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.